Monday, September 08, 2014

Aaj Mujhe Kuch Kehna Tha....!!!!



Source: Google Images

We'll find very fewer people in this world with whom we wish to sit and spend time. Even though we sit in silence for a long time, we later realize that those moments spent with him/her belong to most wonderful chapters of your life. Those chapters, which you can remember as just a day before today, even when you story them to your grand children.

It all starts with, Aaj Mujhe Kuch Kehna Tha....!!!!


Aaj mujhe kuch kehna tha,
Magar kya karu!
Is beraham duniya k aage, sharam ka naqaab jo pehna tha,
Shayad khuda ki yehi marzi hain, is dard ko ab mujhe hi sehna tha.

Shaayad woh ek hi mahina tha,
Jo mujhe tumhaare sang, tumhaare palko ke saaye mein rehna tha.
Sach kahu, us mahine ke har din mujhe tumse kuch kehna tha,
Bas tumhaare sang, tumhaare palko ke saaye mein rehna tha.

Tum dekhti reh gayi,
Main sochta reh gaya,
Pal beet te reh gaye.

Zara sa ishaara toh kar deti,
Ik muskaan toh hoton par laa deti,
Tab woh Chandini bhi maanjaati,
Aur apne saare taare tumhare sajawat k liye bhej deti.

Aaj mujhe dil se kuch kehna tha,
Magar kya karu!
Is beraham duniya k aage, sharam ka naqaab jo pehna tha
Shayad khuda ki yehi marzi hain, is dard ko ab mujhe hi sehna tha.

No comments :

Post a Comment